VividhGyan Logo

Nakoda Bhairav Chalisa

।। Doha ।।
Parshvanath Bhagwan ki,
Murat chit basey.
Bhairav Chalisa likhu,
Gata man harsey.

।। Chaupai ।।
Nakoda Bhairav sukhkari,
Gun gaye ye, duniya saari. 1.
Bhairav ki mahima ati bhari,
Bhairav naam jape nar-naari. 2.

Jinvar ke hain aagyakari,
Shraddha rakhte samkit dhari. 3.
Pratah uth jo Bhairav dhyata,
Riddhi siddhi sab sampatti pata. 4.

Bhairav naam jape jo koi,
Us ghar mein nij mangal hoi. 5.
Nakoda lakhon nar aave,
Shraddha se parsad chadhave. 6.

Bhairav-Bhairav aan pukare,
Bhakton ke sab kasht nivare. 7.
Bhairav darshan shakti-shali,
Dar se koi na jaave khali. 8.

Jo nar nit uth tumko dhyave,
Bhoot paas aane nahin pave. 9.
Daakan chhu mantar ho jaave,
Dusht dev aade nahin aave. 10.

Marwad ki divya mani hain,
Hum sab ke to aap dhani hain. 11.
Kalpataru hai partikh Bhairav,
Ichchhit deta sabko Bhairav. 12.

Aadhi vyadhi sab dosh mitaave,
Sumirat Bhairav shanti paave. 13.
Bahar pardeshe jaave nar,
Naam mantra Bhairav ka lekar. 14.

Choghadiya dushan mit jaave,Kaal rahu sab natha jaave. 15.
Pardesha mein naam kamave,Dhan bora mein bharkar laave. 16.
Tan mein sata man mein sata,
Jo Bhairav ko nitya manata. 17.
Mota dungar ra rehvasi,
Araj sunanta daudya aasi. 18.

Jo nar bhakti se gun gasi,
Paave nav ratnon ki rashi. 19.
Shraddha se jo sheesh jhukaave,
Bhairav amrit ras barsave. 20.

Mil jul sab nar phere mala,
Daudya aave badal-kala. 21.
Varsha ree jhadiya barsave,
Dharti maa ree pyas bujhaave. 22.

Ann-sampada bhar bhar paave,
Charon or sukaal banaave. 23.
Bhairav hai sachcha rakhvala,
Dushman mitra banane wala. 24.

Desh-desh mein Bhairav gaaje,
Khutan-khutan mein danka baaje. 25.
Ho nahin apna jinke koi,
Bhairav sahayak unke hoi. 26.

Nabhi kendra se tumhen bulave,
Bhairav jhat-pat daude aave. 27.
Bhukhya nar ki bhukh mitaave,
Pyase nar ko neer pilaave. 28.

Idhar-udhar ab nahin bhatkana,
Bhairav ke nit paanv pakadana. 29.
Ichchhit sampada aap milegi,
Sukh ki kaliyan nitya khilengi. 30.

Bhairav gan khartar ke deva,
Seva se paate nar meva. 31.
Keertiratn ki aagya paate,
Hukm-hajiri sada bajate. 32.

Oon hreen Bhairav ban ban Bhairav,
Kasht nivarak bhola Bhairav. 33.
Nain moond dhun raat lagave,
Sapne mein vo darshan paave. 34.

Prashnon ke uttar jhat milte,
Raste ke sankat sab mitate. 35.
Nakoda Bhairav nit dhyavo,
Sankat meto mangal paavo. 36.

Bhairav japanta malam-mala,
Bujh jaati dukhon ki jwala. 37.
Nit uthe jo chalisa gaave,
Dhan sut se ghar swarg banaave. 38.

।। Doha ।।
Bhairu chalisa padhe,
Man mein shraddha dhaar.
Kasht kate mahima badhe,
Sampada hot apar. 39.

Jin kanti gururaj ke,
Shishya maniprabh raay.
Bhairav ke saanidhya mein,
Ye chalisa gaay. 40.

।। Shri Bhairavay Sharanam ।।