Om Jai Mahavir Prabhu
Audio Play to listen
Om Jai Mahavir Prabhu,
Swami Jai Mahavir Prabhu ।
Kundalpur Avtari,
Chandanpur Avtari,
Trishla-Nand Vibhu ॥
Sidhharath Ghar Janme,
Vaibhav Tha Bhari ।
Baal-Brahmchari Vrat,
Paalyo Tap Dhaari ॥
॥ Om Jai Mahavir Prabhu...॥
Atam Gyan Viragi,
Sum Drishti Dhari ।
Maya-Moh Vinashak,
Gyaan Jyoti Jari ॥
॥ Om Jai Mahavir Prabhu...॥
Jag Mein Path Ahimsa,
Aap Hi Vistaryo ।
Hinsa Pap Mitakar,
Sudharam Paricharyo ॥
॥ Om Jai Mahavir Prabhu...॥
Amar Chand Ko Sapana,
Tumne Prabhu Deena ।
Mandir Teen Shikhar Ka,
Nirmit Hai Keena ॥
॥ Om Jai Mahavir Prabhu...॥
Jaipur Nrap Bhi Tere,
Atishay Ke Sewi ।
Ek Gram Tinh Dino,
Sewa Hit Yeh Bhi ॥
॥ Om Jai Mahavir Prabhu...॥
Jal Main Bhinn Kamal Jo,
Ghar Main Bal Yati ।
Raaj Path Sab Tyage,
Mamta Moh Hati ॥
॥ Om Jai Mahavir Prabhu...॥
Bhumandal chandanpur,
Mandir Mandhy Lase ।
Shant Jinishwar Murat,
Darshan Paap Lase ॥
॥ Om Jai Mahavir Prabhu...॥
Jo Koi Tere Dar Par,
Ichcha Kar Aave ।
Dhan Sut Sab Kuch Pave,
Sankat Mit Jave ॥
॥ Om Jai Mahavir Prabhu...॥
NishDin Prabhu Mandir Mein,
Jagmag Jyoti Jale ।
Hum Sevak Charnon Mein,
Anand Maund Bharen ॥
॥ Om Jai Mahavir Prabhu...॥
Om Jai Mahavir Prabhu,
Swami Jai Mahavir Prabhu ।
Kundalpur Avtari,
Chandanpur Avtari,
Trishla-Nand Vibhu ॥
Jai Mahavir Prabho,
Swami Jai Mahavir Prabho ।
Jagnayak Sukhdayak,
Ati Gambhir Prabho ॥
॥ Om Jai Mahavir Prabhu...॥
Kundalpur Me Janme,
Trishla Ke Jaye ।
Pita Sidharth Raja,
Sun Nar Harshaye ॥
॥ Om Jai Mahavir Prabhu...॥
Deenanath Dayanidhi,
Hain Mangalkari ।
Jaghit Aayam Dhara,
Prabhu Par-Upkari ॥
॥ Om Jai Mahavir Prabhu...॥
Papachar Mitaya,
Satpath Dikhlaya ।
Dayadharm Ka Jhanda,
Jag Me Lahraya ॥
॥ Om Jai Mahavir Prabhu...॥
Arjunmali Gautam,
Shri Chandanbala ।
Paar Jagat Se Beda,
Inka Kar Dala ॥
॥ Om Jai Mahavir Prabhu...॥
Pawan Naam Tumhara,
Jag Taranhara ।
Nisidin Jo Nar Dhyave,
Kasht Mite Sara ॥
॥ Om Jai Mahavir Prabhu...॥
Karunasagar! Teri,
Mahima Hai Nyari ।
Gyanmuni Gun Gave,
Charan Balihari ॥
॥ Om Jai Mahavir Prabhu...॥
Jai Mahavir Prabho,
Swami Jai Mahavir Prabho ।
Jagnayak Sukhdayak,
Ati Gambhir Prabho ॥
Om Jai Mahavir Prabhu About
This Aarti praises Lord Mahavir’s life, penance, and propagation of dharma. It highlights his teachings of non-violence, truth, and compassion for the welfare of all beings.
Meaning
The Aarti elaborates on Mahavir Swami’s birth, penance, and enlightenment. It inspires leading a simple, moral, and spiritual life.
Benefits
- Inner peace and mental stability
- Practice of non-violence and compassion
- Removal of life’s hardships
- Liberation and spiritual progress
Significance
This Aarti is regularly recited by Jain followers, especially on Mahavir Jayanti. It symbolizes devotion and reverence.
